Rohu Machli ka Salan - Recipe
Ingredients:
Machli ……..1 KgBesan …….1 Chitank
Long …..3 Adad
Adrak ………1 Tola
Haldi …..9 Masha
Ghee…..1 Pao
Dhaniya …..3 Tola
Payaz ……….1 Pao
Dahi ……1 Pao
Lal mirch …..4 Tola
Salt……to taste
Method:
- Machli ka kanta nikal kar gosht kay parchy kar lain aur un per pisa hua masala besan kay sath laip dain.
- Phr Pateli main thora sa pani dal kar in parcho ko ubal lain.
- Jb ubalay jain to long ka bighar day kar dhaniye kay pani main pakain aur dahi dal kar mazeed luab paida karain.
- Agar kanta machli se nikalna ho to 2 masha kacha suhaga paithy kay arq main milain aur machli kay tukro ko us main aik din tak doba rehny dain.
0 comments :
Post a Comment